Wednesday, July 28, 2010

zara rukiye

a breakup ballad where he is asking her to stay for a moment before leaving, a moment in which he would live his life.

maan gaye hummein kami hai jo aap ja rahin hain
jaane se pehle ek guzarish hai hamari
zara rukiye

itna pyar karne deejiye ki pyar mein hum fanaa ho jaayen
itna bechain hone deejiye ki ye dil bechain hona bhool jaaye
itna dekhne deejiye ki kisi chehre ka asar humpe na pade
itna mehsoos karne deejiye ki ye jaan mehsoosgi kho de
itni aanso behne deejiye ki is rooh ki nami sookh jaaye

zara khareeb aayiye kuch haseen pal samet lein
zara choo leejiye ki sparsh ke liye kabhi na hum tadpe
todi si ji lene deejiye ki jeene ki aarzoo na rahe

na thamiye, aisa girne deejiye ki phir utne se darein
inta door jaayiye ki koi tammanna na rahe
bas jaane se pehle
zara rukiye

mehsoosgi is a new word i have coined. the right word is samvedana, but used mehsoosgi because I like my new word. :-)

3 comments:

  1. 'The Great Escape' would have been a better title :-)

    ReplyDelete
  2. You should consider changing the title to 'The Great Escape' :-)

    ReplyDelete
  3. Thank you for reading. In hindsight, I have half a mind to accept your suggestion! ;-)

    ReplyDelete